Question :
Hamary haan magrib mai baaz hafiz bazahir maal kamany k liye tilawat
kerty hain' jab bhi in k liye mehfil qaim ki jaye to is mai shirket
kerty aur ilfaz per gour aur aihtram tilawat k bagair Quran Majeed
parhty hain' is tarha ki mehfil mai hazir hony sy inka bara maqsad ujrat
laina aur logo sy sadqaat-o-kherat wasool kerna hota hai' in
sadqat-o-kherat ko jama ker k yh apas mai taqseem ker laity hain aur
kisi faqeer-o-maskeen ko is may sy kuch nahi daity.
Sawal yh hai k islami shariyet ki roshani mai in sadqat ka kia hukam
hai' jissy yh apas mai taqseem kerny k liye jama kerty aur is maqsad k
liye tilawat ko istemal kerty hain? mai ny aik kitab mai Nabi kareem
(S.A.W) ki yh hadis parhi thi k "jis ny maal kamany k liye Quran istemal
kia to woh qayamat k din is tarha ayega k is ka chehrah haddi ki tarha
huga. "yani gosht sy khali hoga' to kia yh hadis sahi hai ya nahi? NAiz
yh farmen k is ayat karima:
"(Aye Paigumber)! keh dijeye k mai tum is (kaam) ki ujrat nahi mangta"
Sad 38 :86.
k kia maini hain?
Answer :
Awalan: Tilawat Quran mahez ebadat aur aik aisa zariya hai' jis sy
bandah apny Rab ka taqarrub hasil kerta hai aur ebadaat k silsila mai
asool yh hai k inhen musalman mahez Allah Ta'ala ki raza k liye sar
anjam dey aur in k sawab ki Allah Ta'ala hi sy umeed rakhy' makhloq sy
is k sila-o-shukriya ki umeed na rakhy' yahi wajah hai k salaf saleh ka
mehfilon aur majliso mai Quran Parh ker ujrat wasool kerna ka tarika na
tha' na aima deen mai kisi sy manqol hai k inhuny is ka hukam dia hu ya
is ki rakhsat di hu aur na hi yh sabit hai in mai sy kisi ny bhi tilawat
Quran ki ujrat wasool ki hu' na kisi khushi k moqa per aur na kisi gam k
moqa per' balkey woh to mahez Allah Ta'ala sy hasool sawab ki khatir
tilawat kia kerty thy. Nabi kareem (S.A.W) ny bhi yahi hukam di ahai k
jo shakhs tilawat kery woh Allah TA'ala hi sy sawal kery' logo sy sawal
kerny sy app ny mana farmaya hai. Hazrat Imran bin Hussain R.A. sy
ravayat hai k in ka guzer aik qissa go k pass sy howa jo Quran parh ker
sawal ker raha tha' app ny "Inna Lillahi Wa Inna Elaihi RAjiaon" parha
aur kaha k mai ny RAsool Allah (S.A.W) ko yh irshad farmaty huway suna
hai:
"Jo shakhs Quran parhy to woh Allah TA'ala hi sy sawal kery'
unqarib kuch log aisy bhi ayen gay jo Quran parh ker logo sy sawal karen
gey."
At-Trimithi no 2917, aur Ahmad 4 :432.
Baki raha Quran ki ta'alim ya is k sath dam ker k ujrat laina ya koi
aisa amal jis ka nafa gair qari tak bhi pohanchy to sahi ahadis sy is
ka jawaz sabit hai jaisa k hadis Abu Saeed mai hai k aik admi ny sorat
FAtiha k sath dam ker k shifa hasil huny per mareez sy batour ujrat
bakriyo ka aik rewar lia tha aur hadis mai hai k Nabi kareem (S.A.W) ny
aik admi ki aik orat sy shadi k liye maheriya muqarar kia k issy jis
qadar Quran yad hai woh orat ko bhi yad kara dey' lekin jo shakhs nafs
tilawat per ujrat laita hai ya tilawat kerny walo ki aik jamat ko ujrat
per bulata hai to woh salf saleh k ejma'a k khilaf kerta hai.
Saniyan: Quran MAjeed Allah Ta'ala ka kalam hai' makhloq k kalaam per
is ki fazilat issi tarha hai' jis tarha khud Allah Ta'ala ko apny bando
per fazilet hasil hai. Tilawat Quran Majeed tamam azkaar sy behtreen aur
afzal tareen hai lehaza tilawat kerny waly ko chahye k woh ba adab hu
ker' khashu-o-khazu aur ikhlas k sath' ahsan andaz mai hasb qudrat mafi
per gour kerty huway tilawat kery' tilawat k bajaye deegar
azkar ka shugal ikhteyar na kery' na takalluf-o-tasna'a (banavat) sy
kaam ley aur na zarorat sy ziadah awaz buland kery. jo log tilawat Quran
ki majlis mai hazir houn inhen chaheye k khamoshi k sath tilawat ko
sunen aur mafi per gour karen' koi lagv kaam karen na tilawat k wqt
dosoron k sath baten karen aur na qari aur hazireen majlis ko tashvish
mai dalen' Irshad bari Ta'ala hai:
"aur jab Quran parha jaye to touwaja sy suna karo aur khamosh
raha karo ta k tum per rahem kia jaye aur apny prvardigar ko dil hi dil
mai ajazi aur khouf sy aur past awaz sy subha-o-sham yad kerty rahua ur
(dekhna) gafil na hona."
Al-A'raf 7 204-205.
Salisan: log fiker-o-fahem
log fiker-o-feham k aitbar sy mukhtalif hoty hain. her mukallaf per
farz hai k woh deen aur aikam shariyet ko Allah Ta'ala k ata kerdah
feham-o-wosat wqt k mutabiq samjhny ki kosihish kery ta k khud amal ker
saky aur dosron ki rehnumai ker saky.sab sy pehly jissy samjhna' jis ki
tarf mail hona aur jis ki tarf dil sy mutawaja hona zarori hai' woh
Allah ki kitab hai' Quran k jis makaam ko khud na samjh saky' is k
samjhny k liye Allah Ta'ala sy esta'anet (madad talb) kery aur phir hasb
taqat-o-qudrat oulama sy madad ley aur agar is k bawajod koi bat samjh
mai na aye to koi harj nahi Qk Allah Ta'ala kisi bhi insan ko is ki
taqat sy ziadah takleef nahi daita. maqdor bher koshish k bawajod ager
koi shakhs Quran ko na samjh saky to is k yh maini nahi k woh tilawat
kerna bhi chor dey' maqdor bher koshish k bawajod na samjh sakna ma'ayub
nahi Qk Nabi kareem (S.A.W) ny farmaya:
"Quran ka mahir muaziz naik-o-kar farishto k sath hoga aur jo
shakhs Quran parhta hai' is mai atakta hai aur woh is per garaa guzerta
hai to issy dogna ajar-o-sawab milta hai."
Muslim no. 798, Ibn Majah no. 3779 aur Ahmad 6 :98, 170, 266.
Rabian: Faqir k liye yh jaiz hai k woh apni aur apny Ahl-e-Ayaal ki
zarorat k mutabiq sadqa ley sakta hai' sadqa kerny waly k liye
dua-e-kher kerna masnon hai lekin Quran ki Tilawat ker k ujrat laina ya
wa'az-o-nasihet ker k maal wasool kerna' ya berkat ki umeed sy kisi ko
maal daina' ya hasol berkat k liye kuch logo ko jama kerna jaiz nahi
hai' ibtadai 3 sadiyo mai jinhen Rasool Allah (S.A.W) ny kher-ul-Quran
qarar dia' musalmano mai is tarha ka qatan koi riwaj na tha.
Khamisan: Irshad bari Ta'ala:
"(Aye Paigumber)! keh dijeye k mai tum is (kaam) ki ujrat nahi mangta"
Al-Furqan 25 : 57.
k maini yh hain k Allah Ta'ala ny apny Rasool HAzrat Mohammad (S.A.W)
ko yh hukam dia k app apni qaom ko yh bata den k app inhen Allah Ta'ala
ki tarf sy nazil kerdah deen-o-shariyet ki jo tableeg kerty hain aur
inhen touheed khalis aur deegar tamam aihkam islam ki dawat daity hain
to is per is sy kisi ujrat ka mutalba nahi krty balkey app yh kaam Allah
Ta'ala k hukam ki etat aur is ki raza k hasool k liye kerty hain aur
ajr-o-sawab ki srf aur sirf Allah Ta'ala sy umeed rakhty hain. Allah
Ta'ala ny app (S.A.W) sy yh elaan is liye bhi krwaya ta k app mushriko k
in oobam aur zanon ka daba ka azala farma den k Rasool inhen apni
itba'a ki is liye dawat daita hai k is k zariye woh maal kamana chahta
ya qoam ki serbarahi chahta hai lehaza app ny in k samny yh wazeh farma
dia k app inhen haq ki dawat mehfil Allah Ta'ala ki raza k liye daity
hain.
Issi tarha deegar tamam anmbiya karam A.S. ny bhi apni apni qomu ko jo
dawat di to is per logo sy kisi qism ki ujrat ka sawal nahi kia tha. Is
jawab k pehly fiqrah mai hadis Imran bin Husnain k hawala sy yh ziker
kia ja chuka hai k Quran ko kamai ka zariya banana aur Quran parh kr
logo sy sawal kerna mana hai. baki raha yh sawal k mangny waly k mou per
qayamat k din gosht na hoga to yh waeed her is shakhs k liye hai jo
kisi eztrari halat k bagair logo sy mangta hai khuwah woh Qirat Quran k
hawala sy mangy ya is k bagair mangy' HAzrat Abdullah bin Umer R.A. sy
ravayat hai k Nabi kareem (S.A.W) ny farmaya:
"Sawal tum mai sy kisi aik k sath chimta rehta hai hatta k
jab woh Allah Ta'ala sy mulaqat kery ga to is k chehry per gosht ka
tuktra bhi na hoga."
Muslim no. 1040 aur Ahmad 2 : 15, 88.
Aik ravayat mai yh ilfaz hain:
"Admi logo sy sawal kerta rehta hai hatta k jab woh qayamat k din ayega to is k mou per gosht ka iak tukra bhi na hoga."
Al-Bukhari no. 1474 aur Muslim no. 1040.
Hazrat Abu Hurerah R.A. sy ravayaat hai:
"Jo dhskhd spny psdd ziadah maal jama ker lainy ki garz sy'
logo sy sawal kerta hai to woh agg k angaro ka sawal kerta hai' ab
chahay inko kam ker ley ya ziadah ker ley."
Muslim no. 1041, Ibn Majah no. 1838 aur Ahmad 2 : 231.
Jo admi logo sy
Quran k hawala sy mangta hai' agar faqeer hai to hadis Imran k misdaq
hai aur ager sahib dolat hai to woh in tamam ahadis k misdaq hai. sawal
mai mazkor hadis k ilfaz' hamary ilm k had tak kisi sahi hadis mai nahi
hain. (Wallah aalam)
Fatwa Committee
Tags : tilawat, recite, sadqah, donation, qayamat, resurrection