Question :
baz logo ka khayal hai k kuch paishay gair shareefana hain aur woh in
paishon k krny walo maslan nanbaiyu' hajamo' mochiyon aur safai ka kaam
krny walo ko acha nahi samjhty. kia koi aisi sharai daleel hai jis sy
maloom ho k yh khayal sahi hai? kia arbi aadaat-o-tabai in paishu sy
nafrat krti hain? rehnumai farmayen. Jazakum Allah kheran.
Answer :
in paishu aur in jaisy deegar jaiz paishu mai koi harj nahi ba shart yh k
un paishu sy wabasta shakhs apny Rab sy dary' humdardi-o-kher khuwahi
sy kaam kery aur apny sath mamla krny walo ko dhoka na dy jaisa k adlaa
shariya k amoom ka taqaza hai maslan jab Nabi sy yh sawal
pocha gya k kon si kamai ziadah pakeezah hai? to app ny jawab mai
farmaya:
"admi ka apny hath sy kaam krna aur hr jaiz be'e."
is hadis ko buzaar ny ravayat kia aur hakim ny sahi qarar dia hai' issi tarha apny yh bhi farmaya hai:
"kisi ny apny hath ki kamai sy behtar khana aur koi nahi khaya' Allah
ta'ala k Nabi Dawud A.S.' bhi apny hath ki kamai sy khaya krty thy."
(is hadis ko imam bukhari R.A. ny apni "sahi" mai ravayat farmaya hai)
Phir logo ko un aur un jaisy deegar paishu ki zarorat bhi hai' un ko
tark kr deny sy musalmano ko noqsan hoga Qk in kamo k liye phir unhen
apny dushmano ka dust-e-nagar hona pary ga. jo shakhs safai k kaam sy
wabasta ho' ussy chaheye k apny jism aur kapro ko najasat sy mehfoz
rakhny k liye puri puri koshish kary aur ager koi najasat wagairah lag
jaye to jism aur kapro ko pak krny ka khub aihtamam kery. wallah walee
al tufeeq.
Sheikh Ibn Baz
Tags : paisha, work, gair shareefana, not honorable, sharai daleel, shariah proof