Question :
kia mard aur orat k gusal janabat mai koi farq hai? orat k liye balo ka
kholna zarori hai ya isk liye sar per pani k 3 chulo dalna hi kafi hai?
gusal janabat aur gusal haiz mai kia farq hai?
Answer :
Mard aur orat k gusal janabat mai koi farq nahi' in mai sy kisi ko bhi
gusal k liye bal kholny ki zarorat nahi balky sar per pani k 3 cholu
dalna aur phir sary jism per pani baha laina kafi hai. Hazrat
Umm-e-salma R.A. sy marvi hai k inhuny Nabi kareem ki khidmat
mai arz kia k:
"Mai apny sar k balo ko mazboti sy bandhti hoon to kia mai
inhen gusal janabat k liye kholu? App ny farmaya "nahi balky tumhen issi
qadar kafi hai k apny sar per pani k 3 cholu daal lo aur phir sary jism
per pani baha ker pak ho jao."
Muslim no.330, Abu Dawud no. 251 and At-Trimithi no. 105.
AGer mard ya orat k sar per bairi wagairah k pattay ya mehndi lagi ho
jis ki waja sy balo ki jaaro tak pani na pohanchta ho to in cheezo ko
dour ker k balo ki jaaro tak pani pohanchana wajib hai. aur ager yh
cheezen khafif houn k pani k balo ki jaro tak pohanchny mai rukawat na
banti houn' to phir in ko dour kerna wajib nahi hai.
Gusal haiz k liye orat k balo k kholny k wajob mai oulama mai ikhtelaf
hai. sahi bat yh hai k orat k liye haiz mai balo ka kholna wajib nahi
hai Qk HAzrat Umm-e-salma R.A. sy marvi hadis mai hai k inhuny Nabi
kareem ki khidmat mai arz kia k:
"Mai apny sar ki mendhiyu ko bohat mazboti sy badhti hoon to
kia gusal haiz-o-janabat k liye inhen kholu? App ny farmaya
"nahi balky tumhen yahi kafi hai k apny sar per pani k 3 cholu daal lo
aur phir sary jism per pani daal ker pak ho jao."
Muslim no.330, Abu Dawud no. 251 and At-Trimithi no. 105.
Yh ravayat mus hai k orat k liye gusal janabat-o-haiz mai sar k balo ko
kholna wajib nahi hai' lekin afzal yh hai k ehiyat k tour per gusal haiz
mai balo ko khol lay. is sy ikhtelaf bhi khatam ho jaye ga aur tamam
dalail mai tatbiq bhi hu jaye gi.
Fatwa
Committee
Tags : gusal aur haiz, janabah or menstruation, tarika, method, orat, woman