Question :
kia mard k liye yh jaiz hai k woh zair-e-naf aur bagal k balo ki safai k
sath sath peth' pindaliyu aur rano wagairah k balo ko bhi saaf ker dy
jab k is ka maqsod orto ya kafir Ahel kitab wagairah sy mushabihet na
hu?
Answer :
jism k mazkorah bala balo ko saaf kerna jaiz hai k is sy jism ko koi
nuqsan nahi pohanchta ba shart yh k orto ya kafiro sy mushabihet
ikhteyar kerna maqsod na hu Qk asal jawaz hai aur musalman k liye kisi
cheez ko dalee l k bagair haraam qarar daina jaiz nahi aur mazkorah amar
ki hurmet ki koi daleel nahi hai' Allah Ta'ala aur is k Rasool Allah ka is sy sakot farmana is k jawaz ki daleel hai. Rasool Allah
ny humen hukam dia hai k monchen kati jayen' nakhun trashy
jayen' baglu aur zair-e-naf balu ki safai ki jaye' mardo k liye App
ny sar mundany ki bhi ejazat di. Namsa aur Mutanamsa
"Imam Abu Dawud farmaty hain k Namsa sy murad woh orat hai jo Abru k
baal chun chun ker abro ko bareek ker dy. Imam khtabi farmaty hain k
is k maini chehry sy baal chunna hain aur almutanamsa sy murad woh orat
hai jis k sath yh amal kia jaye. ""Mukhtasir Al tergeeb wal Terheeb"
Hafiz ibn hijer' terjuma Mohammad khalid saif. Suad 397."
pr App ny la'anat farmai aur humen dareeiyu k barhany ka hukam dia hai
aur is k elawah baki balo sy sakot farmaya hai aur jis sy Allah Ta'ala
aur is ka Rasool sakot farma len woh qabil muafi hai' issy haram
qarar daina jaiz nahi kyun k Abu Salba khashni R.A. sy ravayat hai k Nabi
kareem
ny farmaya:
"Allah Ta'ala ny kuch faraiz muqarar kiye hain inhen zaya na karo' kuch
hadod muqarar kiye hain in sy tajawuz na karo' kuch cheezo ko haram
qarar dia hai in ka irtekab na karo aur kuch cheezo sy is ny bholny ki
waja sy nahi balky tum per rehmat k paish nazar sakot farmaya hai in k
bary mai kureed na karo."
Ad-Darawutni no. 502 and A; Bayhaqi 10 :12, 13.
Imam Nouvi R.A. k baqoul is hadis ko dar qutni wagairah ny ravayat kia
hai. is mzkorah hadis aur is k hum maini ahaadis-o-asaar ki bunyad per
ahel-e-ilm ki aik jamat ny yahi kaha hai k ashiya mai asal abahet hai.
In ahadis-o-asar mai sy baz ko hafiz ibn rajab R.A. ny apni kitab
"Jamia al aloom-o-al hukam" mai hadis abi sulba ki shrah mai biyan
farmaya hai' jo inhen maloom kerna chahay' woh is kitab ki tarf rajo
kery. (Wallah Alam)
Shaikh ibn Baz
Tags : shave, mundna, hair, baal, kafir, disbeliver